Google Adsense Account Approved Kaise Karaye (Hindi)

Adsense Approval Trick

Google Adsense Account Approved Kaise Kare – aksar new blogger google par ye search Karta hai hum apne google adsense account ko 1 din me kaise approval karaye isi ke chalte dosto aaj me aapko kuchh tips and trick batane wala hu.

Jin ko agar aap follow karo ge to aapka adsense account 100% approved ho jaye ga.

Agar aap ek new blogger hai to gabraye nahi in tips trick ko follow kar ke aapka adsense 100% approved ho jaye ga.

Dosto me aapko batana chahun ga me 2013 se Blogging me kaam kar raha hun aur is doran me bahut jyada adsense approval kara chuka hun.

isi liye aapko bhi bata sakta hun To fir chaliye sharu karte hai.

Google Adsense Account Approved Kaise Kare

Dosto me aapko bata nahi sakta ye article kitana lamba ho sakta hai lekin me aapko guarantee deta hu is article ko padne ke baad agar aapne in ko follow kiya naa to aapka adsense 100% approved ho jaye ga.

To chaliye me aako batata hu vo kya factors hai jo hume Adsense ka approval dila denge.

Ye sab batane se pahle me aapko kahna chahta hu bahut se new blogger ka question hota hai ki kya Adsense Hinglish and Hindi Language par AdSense approval deta hai.

mera answer hai yes ji bilkul dega.

Kuchh Aur New Blogger Question Adsense Approval Ko Le Ke

Q.1 Kya hum blogger pe custome domain add kar ke adsense se approval le sakte hai?

Ans. Yes

Q.2 kya hum free theme me adsense approval Le sakte hai?

Ans. Yes

Q.3 Kya hum article ko spinner ki madad se spin kar ke article likhe to adsense hume approval dega?

Ans. No

Q.4 kya hum ek domain pe 2 adsense approval kara sakte hai?

Ans. No

Q.5 kya hume free domin pe adsense approval kara sakte hai Like ml, tk etc?

Ans. No

Q.6 kya hum free Hosting use kar ke adsense ka approval kara sakte hai?

Ans. Nahi bhi aur yes bhi ji dosto agar aap Amazon jaisi Free hosting ka use karte ho to aapka adsense approval ho jaye ga agar aap vese hi kahi se hosting free me use karte ho to is se aapki site jyada tar down rahti hai.

aur esi site ko google adsense approval nahi deta hai. Isi liye achhi hosting hi use kare agar aap nahi kar sakte to Amazon ya fir blogger use kare.

Best and Cheap Hosting ke bare me jaane Click Here

Important Factors Jo Hume Adsense Ka Approval Dilye Ge

Original Content

Ji dosto agar aap ek new blogger hai to me aapko kahna chahu ga aap jitana bhi content likhiye ga sara ka sara Origianal Content likhna hai.

Iska matlab ye nahi hai ki aap oro se idea bhi nahi le sakte ho jarur lijiye but same copy mat kariye ga us content ko apne hisab se likhye ga fully user firendly likhye ga.

Aur kam se kam 500 words ka ek article likhye ga. Adsense ke liye apply karne se pahle aap kam se kam 20 post apne blog website par publish jarur kariye ga.

Note : –

Youtube par aapko bahut video dekhne ko mil jaye gi ki aap ese Article Generate karo to aapko adsense approval mil jaye ga.

Me aapse request karu ga un me n fasiye aur khud hi article likhe to achha rahe ga.

Responsive Theme

Dusra jo humara important factor hai vo hai Responsive Theme ji dosto aap apne blog website par Responsive theme use kariye ga is ka matlab ye nahi hai ki aap paid theme hi kharidiye ga.

Agar aapke pass itane paise nahi hai ki aap paid theme use kar sake to free theme use kar sakte hai joki Mobile aur computer aur other device me aram se fit ho sake.

Aaj ke time me jitni bhi Free Blogger, WordPress theme Available hai vo sari Responsive hai.

Blog Website Design

Ji dosto ye ek bahut hi important part hai joki agar is me hum koi  galti karte hai to hume adsense approval nahi dega jaise aap koi menu banate ho aur us me aapne koi link nahi lagaya hai us par click karne se 404 Error aata hai to aapko adsense approval nahi dega.

Isi liye jitane bhi aap social icon ya fir menu add kar un me link jarur se lagaye. Jitana jyada ho sake blog ko simple design kare.

Create important pages

Privacy Policy, Contact Us, Disclaimer, About Me ka page jarur banaye aur in sabhi pages ko Blog, website ke header Section me lagaye. Agar aap in pages ko create nahi karte ho to aapko adsense kabhi bhi approved nahi kare ga.

Submit Sitemap

Post likhne ke baad aap apne blog website ka sitemap create kar ke Google Webmaster and Bing Webmaster me jarur submit kare jis se aapke blog website par kuchh organic traffic bhi aa sake. Ye karne se aapko Adsense ka approval milne me kafi help milti hai.

Social Accounts And Social Sharing

Jab bhi aap koi new blog post likho to aapko us post ko Social sites par jaur share karna hai.

vaha se aapko traffic mile gi sath me aapke domain authority badhe gi aur Adsense ka approval milne me help mile gi.

Aap apne blog ke naam se Facebook, Tumbler and twitter par page aur group banaye jis se google Adsense ko lage ga ki ye ek brand blog hai aur aapko jaldi se approval de dega.

Social Bookmarking

Ji dosto ye ek bahut hi important factor hai is ke andar aap social bookmarking sites pe apne blog ke naam se account banaye aur apni website blog ki har ek post ko waha bookmark kare is se aapka blog jald se jald rank Hoga aur Adsense bhi aapko jald hi approval dega.

Regular Content Publishing

Bahut se new blogger ye galti karte hai vo adsense apply karne ke baad blog par article publish karna band kar dete hai.

Jis se adsense ko lagta hai ye person apne blog par active nahi hai aur vo reject kar deta hai isi liye jab tak Adsense se reply nahi aaye to regular post publish kare aapko Adsense account mil jaye ga.

Agar aap in sabhi factors ko Sahi se follow karo ge to aapko adsense se approval milne se koi bhi nahi rok sakta.

Conclusion:-

Aasa karta hu dosto aapko ye “Google Adsense Account Approved Kaise Karaye” article padne ke baad aapko pata chal gaya hoga aapko adsense se approval kaise lena hai. Esi hi blogging se related jankari daily pane ke liye humare BloggingTeach.com ke sath bane rahiye ga Thank You.

Agar Koi question Hai to Comment kare aapko Answer jarur diya jaye ga.

2 thoughts on “Google Adsense Account Approved Kaise Karaye (Hindi)”

  1. Sir aapka bahut bahut dhanyavad ke baare mein batane ke liye, ye article bahut khubsurat aur jabardast hai, mein aapka regular visitor hoon aur aapke articles roj padhta hoon yahan tak ki mere doston ko bhi share karta hoon, aapka content bahut achha hai sir “keep it up”.

    Reply

Leave a comment